Janab Guzarish yeh hai keh President election 2007 k aaj nomination paper manzoor ho chukhey hain. 3 main candidates k form select ho gaey hain for presidential election 2007 . Jiss mein shamil hain former justice supreme court Wajih uddin sahib , Janab Makhdoom Ameen faheem and Gerenel Musharraf .
Kal yani k 18th september ko supreme court ne President musharraf k 2 Uhdon k khilaaf tamam applications reject kar deen theen jiss ko wukla aur oposition parties ne shadeed tanqeed ka nishana banatey hoey iss ko aik ghair munsifaana faisla kaha hay.
Aaj ka din mulki tareekh ka bud tareen din hai jiss mein aik baar phir Journalists jo k election commission aur Supreme court k bahir apney faraeez anjaam dey rahey they aur Awam ko camera ki ankh se paish aney waley waqiyaat se agaah kar rahey they, Un pey Anso gas ki shelling aur laathi charge kiya gaya. Aur iss k saath hee Mulk mein Azaad sahafat ko farogh deyney wali hakomat k jhootey daawon ki tardeed sub ne tv screens pe dekh li.
Election hone se pehley Taqat ka wehshiyana istimaal kya yeh sabit naheen karta keh election candidates ko aik balanced feel naheen muhiya kee gaee, jiss mein aik candidate chief of Army Staff hai aur woh bhi "AZAAD ADLIYA" k marhoon-e-minnat.
Allah hamarey Mulk pe rehm karey
Aameen.
Saturday, September 29, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment